Episode's summary
Hijr ke waqt ka ek sher hai Jo baar baar padh raha tha main Bashir Sahab likhte hain Aur Jagjit ne gaaya bhi toh hai : MOHABBAT EK KHUSHBU HAI HAMESHA SAATH CHALTI HAI KOI INSAAN TANHAAI MEIN BHI TANHA NAHIN REHTA Aisi hi hai Bashir Sahab ki shaayari .. khushbu ki tarah aapke saath saath chalti hai Jaisi ki office jaate waqt aap kalaai pe halka sa itra mal lete hain Toh din bhar khushbu hawa mein rehti hai Bashir sahab humare daur ke sabse badey shaayar theyy Mohabbato'n ki zabaan bolte theyy Ek waqt unko Mir aur Ghalib se compare kiya jaata tha Unka hi ek sher hai : YE DUNIYA HAI YAHAAN KOI JAGAH KHAALI NAHIN REHTI KISI KE AANE JAANE SE KABHI KUCHH KAM NAHIN HOTA .. Par Bashir sahab ke jaane se ek jagah hai jo khaali ho gayi hai Koi vacuum ban gaya hai Woh kabhi bhar nahin sakta Shukriya Soz

Episodes
Bashir Badr
ListenedHijr ke waqt ka ek sher hai Jo baar baar padh raha tha main Bashir Sahab likhte hain Aur Jagjit ne gaaya bhi toh hai : MOHABBAT EK KHUSHBU HAI HAMESHA SAATH CHALTI HAI KOI INSAAN TANHAAI MEIN BHI TANHA NAHIN REHTA Aisi hi hai Bashir Sahab ki shaayari .. khushbu ki tarah aapke saath saath chalti hai Jaisi ki office jaate waqt aap kalaai pe halka sa itra mal lete hain Toh din bhar khushbu hawa mein rehti hai Bashir sahab humare daur ke sabse badey shaayar theyy Mohabbato'n ki zabaan bolte theyy Ek waqt unko Mir aur Ghalib se compare kiya jaata tha Unka hi ek sher hai : YE DUNIYA HAI YAHAAN KOI JAGAH KHAALI NAHIN REHTI KISI KE AANE JAANE SE KABHI KUCHH KAM NAHIN HOTA .. Par Bashir sahab ke jaane se ek jagah hai jo khaali ho gayi hai Koi vacuum ban gaya hai Woh kabhi bhar nahin sakta Shukriya Soz
Mohabbat ki ek nazm - Amjad Islam Amjad
ListenedTanha tanha baithe baithe Is ek nazm ko padhte hain Aur yaad karte hain Usi ek shakhs ko Woh jo saath chalte chalte Koi aur raah mud gaya Waqt ki aakhiri saans tak Jo apna kabhi ho nahin sakta Uske aur mere ghar ke darmayaa'n Aata hai sab kuchh ab Dariya Jungle Sehra Aur samaaj . Suniye aur malaal kijiye Bohot ishq Soz .
Mujhse pehle tujhe jis shakh ne chaaha us ne - Ahmed Faraaz
ListenedMain subah ke pehlu mein leta Ye ek nazm padh raha hun Neend aankhon mein hai Aur ek khwaab table par baitha hai Tumhari yaad kamre mein Cigarette ke surmai dhue'n si Bharti jaa rahi hai Palko'n ke peechhe chal raha hai Koi geela aansu :) Ishq Soz .
Woh ki har ahad e mohabbat se mukarta jaaye - Alamtaab Tishna
ListenedJanuary mein tishna saahab ki ye ghazal , badan par itwaar ki halki dhoop ki maanind mehsoos ho rahi hai .. main mal raha hun isey . PS : the music ive used in the background is by Parth Chandiramani . Haan agar aapne devanand ki guide dekhi hogi toh aap samajh jaayege ki jo photo maine use ki hai us sey zyaada suitable photo koi ho hi nahin sakti is mouzu ke liye duniya mein :) ishq Soz
Koi abr udey kisi kulzum se
ListenedSaaqi Faaruqi ki ye nazm .. udti udti kaano mein pad gayi mere .. kisi ne hawaaon pe rakh di hogi .. tamaam umra koi zaayaka ghulta raha .. Main ek lamhe ki dehleez par baitha padh raha hoon isko .. Aur apne phone ke recorder par darj kar raha hoon isey Aapke hawaale kar raha hoon isko . Ishq Soz :)